dil-e-shorīda  batā  terī  ye  aadat  kyā  hai
ham  se  hī  pūchh  rahā  hai  ki  mohabbat  kyā  hai
na  mohabbat  na  muravvat  na  mulāqāt  rahī
gar  yahī  dostī  Thahrī  to  adāvat  kyā  hai
ham  na  kahte  the  ki  yādoñ  ko  sambhāle  rakhnā
ab  jo  tanhā.ī  kā  aalam  hai  to  hairat  kyā  hai
ġhair  ko  saath  liye  aa.e  ho  ham  se  milne
fitna-añgezī  ye  kaisī  ye  qayāmat  kyā  hai
zulf  zanjīr-e-sitam  teġh-e-jafā  haiñ  abrū
dil-e-vahshat-zada  ab  bachne  kī  sūrat  kyā  hai
kaisī  be-mehrī  se  ruḳhsat  huā  vo  toḌ  ke  dil
pūchh  to  letā  tirī  āḳhirī  hasrat  kyā  hai
kis  liye  zinda  huuñ  maiñ  us  se  bichhaḌ  ke  'mushtāq'
mujh  se  pūchho  ki  mire  dil  meñ  nadāmat  kyā  hai