kyā  karūñ  kuchh  bhī  samajh  aatā  nahīñ
vo  ḳhayāloñ  se  mire  jaatā  nahīñ
kyā  ḳhabar  chehra  kahāñ  vo  kho  gayā
ḳhvāb  meñ  bhī  jo  nazar  aatā  nahīñ
raat  jugnū  chāñd-tāroñ  kā  hujūm
dil  pareshāñ  chain  kyuuñ  paatā  nahīñ
koī  sūraj  apne  dāman  meñ  liye
ḳhvāb-e-fardā  kā  nishāñ  aatā  nahīñ
barf  zehnoñ  meñ  jamī  hai  is  qadar
hādsoñ  kā  Dar  bhī  garmātā  nahīñ
is  qadar  dhuñdlā  gayā  hai  aa.ina
koī  bhī  chehra  nazar  aatā  nahīñ
kis  liye  un  ke  tasavvur  kā  tilism
ab  dil-e-'mushtāq'  bahlātā  nahīñ