kabhī  nasīb  kī  bhūle  se  bhī  sahar  na  huī
baġhair  hasrat-o-ġham  zindagī  basar  na  huī
sahar  qarīb  hai  sham-e-hayāt  bujhtī  hai
dayār-e-ġhair  meñ  yāroñ  ko  hī  ḳhabar  na  huī
tumheñ  qarīb  se  dekhtā  to  ḳhud  ko  pahchānā
shuā-e-hasrat-e-dil  ham  pe  be-asar  na  huī
kahāñ  kahāñ  na  huī  dāstān-e-dil  rusvā
vo  kū-ba-kū  na  huī  yā  ki  dar-ba-dar  na  huī
marīz-e-ishq  kā  to  is  qadar  fasāna  hai
davā  ho  yā  ki  duā  koī  kārgar  na  huī
uThā.īñ  tohmateñ  ham  ne  jahān-bhar  kī  magar
zarā  sī  bhuul  kī  bhī  tum  se  darguzar  na  huī
agarche  mai-kada  meñ  tishnagī  ġhazab  kī  thī
hamāre  vāste  hī  mehrbāñ  nazar  na  huī