nazar  milī  thī  kisī  be-ḳhabar  se  pahle  bhī
sadā-e-tishna  uThī  thī  jigar  se  pahle  bhī
ye  sehr  kam  hai  ki  shādāb  ho  gayā  sahrā
bahe  the  ashk  bahut  chashm-e-tar  se  pahle  bhī
nayā  nahīñ  hai  taqāzā-e-shīsha-o-tesha
guzar  chukā  huuñ  maiñ  is  dard-e-sar  se  pahle  bhī
maiñ  ḳhaak  chhānne  vaalā  savād-e-sahrā  kā
paḌe  the  paañv  meñ  chhāle  safar  se  pahle  bhī
hisār-e-lafz-o-bayāñ  meñ  na  rah  sakā  'nāmī'
ki  āshnā  thā  maqām-e-hunar  se  pahle  bhī