jahāñ  pe  Duub  gayā  thā  kabhī  sitāra  mirā
usī  ufuq  pe  jahāñ-tāb  hai  nazāra  mirā
yahī  huā  ki  parinde  fazā  meñ  tair  ga.e
na  kaam  aa.iiñ  mirī  bandisheñ  na  chāra  mirā
havā-e-dasht  bhī  majnūñ-sifat  nahīñ  hai  agar
to  is  maqām  pe  shāyad  na  ho  guzāra  mirā
abhī  to  harf-e-tamannā  likhā  nahīñ  maiñ  ne
abhī  se  kyuuñ  varaq-jāñ  hai  paara  paara  mirā
na  aag  lagtī  na  taqsīm-e-jism-o-jāñ  hotī
fuġhāñ  ki  shahr-e-sitam  par  nahīñ  ijāra  mirā
vo  tīrgī  hai  ki  rāh-e-ḳhayāl  bhī  gum  hai
na  āsmān  hai  raushan  na  isti.āra  mirā
na  koī  dasht  munavvar  huā  na  dar  'nāmī'
navāh-e-ġhair  meñ  jal  bujh  gayā  sharāra  mirā