giit  mere  haiñ  magar  nūr-e-suḳhan  us  kā  hai
haq  to  ye  hai  ki  mirā  jauhar-e-fan  us  kā  hai
phuul  to  phuul  haiñ  kāñToñ  kī  ravish  bhī  us  kī
bāġhbāñ  kuchh  bhī  kahe  rañg-e-chaman  us  kā  hai
sabz  mausam  kī  mire  dar  pe  jo  dastak  jaagī
maiñ  ne  jaanā  ki  yahī  tarz-e-suḳhan  us  kā  hai
mauj-e-gul  bād-e-sabā  rañg-e-chaman  āb-e-ravāñ
saare  aalam  meñ  agar  hai  to  chalan  us  kā  hai
us  kī  pahchān  faqat  koh-o-samundar  se  nahīñ
zarra-e-ḳhāk  bhī  ḳhurshīd-e-vatan  us  kā  hai
is  se  kyā  farq  paḌe  tarz-e-navā-sanjī  par
hamd  us  kī  hai  laboñ  par  ki  bhajan  us  kā  hai
maiñ  yam-e-vaqt  meñ  bahtā  huā  tinkā  'nāmī'
ye  zamīñ  us  kī  tamāshā-e-zaman  us  kā  hai