Nami Ansari

mauj-e-gul barg-e-hina aab-e-rawan kuchh bhi nahin

Nami Ansari

Bareilly, Uttar pradesh, India

1932

mauj-e-gul barg-e-hinā āb-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ

is jahān-e-rañg-o-bū meñ jāvedāñ kuchh bhī nahīñ

phir vahī zauq-e-ta.alluq phir vahī kār-e-junūñ

sar meñ saudā hai to āshob-e-jahāñ kuchh bhī nahīñ

ik samundar kitnā gahrā mere pas-manzar meñ hai

sāmne lekin zamīn-o-āsmāñ kuchh bhī nahīñ

dhuup chādar bhī mil jaa.e to kaafī hai bahut

kachche-pakke mausamoñ sā.ebāñ kuchh bhī nahīñ

sub.h dahlīz par sote haiñ ab bhī qāfile

vaqt ke sahrā meñ āvāz-e-azāñ kuchh bhī nahīñ

mom ho jaate haiñ patthar narmī-e-guftār se

yuuñ to kahne ko mirī tab-e-ravāñ kuchh bhī nahīñ

dekhiye kab barf pighle kab chale bād-e-sahar

vo to ab tak mehrbāñ nā-mehrbāñ kuchh bhī nahīñ

un ko shāyad ab bhī patthar ke zamāne yaad haiñ

jo ye kahte haiñ ki phūloñ zabāñ kuchh bhī nahīñ

shoḳhī-e-taqrīr-e-'nāmī' se ġhalat-fahmī na ho

sach to ye hai mere us ke darmiyāñ kuchh bhī nahīñ

Top Urdushayar.com