ḳhāk-e-aġhyār  se  yārab  mujhe  paivand  na  kar
mujh  ko  in  chāñd  sitāroñ  meñ  nazar-band  na  kar
ek  hī  baar  chhalak  jaane  de  paimāna  mirā
lamha  lamha  mujhe  āzurda-o-ḳhursand  na  kar
tujh  ko  pahchān  leñ  yā  tujh  ko  ḳhudā  kah  baiTheñ
apne  dīvānoñ  ko  itnā  bhī  ḳhirad-mand  na  kar
shahr-e-dillī  to  amānat  hai  mire  purkhoñ  kī
is  ko  be-rañg-o-sadā  misl-e-samarqand  na  kar
vāhima  ho  to  kabhī  harf-e-yaqīñ  tak  pahuñche
kuchh  na  ho  jab  to  hikāyāt  qalam-band  na  kar
ishq  āsāñ  hai  magar  rog  hai  dīvānoñ  kā
bār-e-ġham  yūñhī  bahut  hai  use  do-chand  na  kar
kyā  ḳhabar  kab  ye  utar  jaa.e  ragoñ  meñ  'nāmī'
zahr  ko  zahr  hī  rahne  de  ise  qand  na  kar