har  shai  vahī  nahīñ  hai  jo  parchhā.iyoñ  meñ  hai
is  ke  sivā  kuchh  aur  bhī  gahrā.iyoñ  meñ  hai
ā.īna  jis  se  TuuT  ke  be-āb  ho  gayā
vo  aks-e-be-navā  bhī  tamāshā.iyoñ  meñ  hai
fursat  mile  to  maiñ  bhī  koī  marsiya  likhūñ
ik  dasht-e-karbalā  mirī  tanhā.iyoñ  meñ  hai
kis  shahr  meñ  talāsh  kareñ  rishta-e-vafā
sunte  to  haiñ  purānī  shanāsā.iyoñ  meñ  hai
dariyā  ke  zor-o-shor  pe  bāteñ  hazār  hoñ
paanī  magar  vahī  hai  jo  gahrā.iyoñ  meñ  hai
ghul  jaa.e  sher  meñ  to  zamīñ  āsmāñ  bane
vo  husn-e-lā-zavāl  jo  sachchā.iyoñ  meñ  hai
bekār  us  ko  ahl-e-vafā  meñ  ginā  gayā
'nāmī'  kahāñ  se  aap  ke  shaidā.iyoñ  meñ  hai