ghar  chhoḌā  be-samt  hue  hairānī  meñ
kaise  kaise  dukh  jhele  nādānī  meñ
taaza  havā  meñ  us  ke  nafas  kī  ḳhushbū  thī
qatra  qatra  Duub  gayā  maiñ  paanī  meñ
kis  ne  joḌā  kyuuñ  joḌā  mazkūr  nahīñ
us  kā  qissa  merī  rām-kahānī  meñ
chāñd  ko  aage  baḌhnā  auj  pe  jaanā  thā
taare  TuuTe  pal  pal  ain  javānī  meñ
kaisā  thā  vo  paikar-e-ḳhūbī  kyā  kahiye
ā.īna  do  laḳht  huā  hairānī  meñ
dil  pe  achānak  sabt  huā  tā-umr  rahā
aisā  bhī  ik  aks  milā  thā  paanī  meñ
saarī  ġhazleñ  ik  jaisī  hī  lagtī  haiñ
kyā  rakkhā  hai  'nāmī'  jashn-e-ma.ānī  meñ