ik  nigāh-e-dilbarī  merī  taraf
zindagī  aa  jā.egī  merī  taraf
sīm-o-zar  kā  ik  shajar  us  ke  liye
shāḳh-e-ilm-o-āgahī  merī  taraf
mere  andar  bhī  añdherā  hai  bahut
raushnī  ai  raushnī  merī  taraf
sair-e-gul  sair-e-chaman  sab  us  ke  naam
shahr  bhar  kī  nā-ḳhushī  merī  taraf
dast-e-majnūñ  ke  hiran  kaale  hue
barf  sī  girtī  huī  merī  taraf
us  ke  dast-e-nāz  meñ  lākhoñ  hunar
merā  pā-e-nā-rasī  merī  taraf
maiñ  ki  'nāmī'  pāsdār-e-fikr-nau
jurm-hā-e-guftanī  merī  taraf