havā-e-tund  ke  aage  dhuāñ  Thahartā  nahīñ
hamāre  sar  pe  kabhī  āsmāñ  Thahartā  nahīñ
hisāb-e-dard  karūñ  bhī  to  is  se  kyā  hāsil
nigāh-e-shauq  meñ  harf-e-ziyāñ  Thahartā  nahīñ
na  rāste  kā  unheñ  ilm  hai  na  manzil  kā
hazār  gard  uḌe  kārvāñ  Thahartā  nahīñ
jahāñ  pe  sikka-e-zar  kī  khanak  sunā.ī  na  de
faqīh-e-shahr  ghaḌī  bhar  vahāñ  Thahartā  nahīñ
qarīb  o  duur  ye  afvāh  kaisī  phail  ga.ī
kisī  ke  ghar  meñ  koī  mehmāñ  Thahartā  nahīñ
havā-e-sajda  ne  har  āstāñ  ko  dekh  liyā
jabīn-e-shauq  pe  koī  nishāñ  Thahartā  nahīñ
ham  apne  aap  kī  pahchān  kyā  kareñ  'nāmī'
yaqīñ  panaptā  nahīñ  hai  gumāñ  Thahartā  nahīñ