sohbat-e-shab  kā  talabgār  na  hogā  koī
ḳhauf  itnā  hai  ki  bedār  na  hogā  koī
dhuup  har  samt  se  niklī  to  kahāñ  jāoge
dasht  meñ  sāya-e-dīvār  na  hogā  koī
harf-e-ehsās  bhī  jal  jā.egā  hoñToñ  kī  tarah
mudda.ā  qābil-e-iz.hār  na  hogā  koī
maiñ  ki  parvarda-e-sahrā  huuñ  bikūñgā  kaise
dekh  lenā  ki  ḳharīdār  na  hogā  koī
kuchh  to  hai  jis  kī  tapish  zer-o-zabar  kartī  hai
yūñhī  rusvā  sar-e-bāzār  na  hogā  koī
saare  aalam  ko  tajassus  hai  na.ī  samtoñ  kā
kaise  'ġhālib'  kā  taraf-dār  na  hogā  koī
kis  ko  ye  ahd-e-junūñ  sauñp  ke  jā.ūñ  'nāmī'
jāntā  huuñ  ki  sazā-vār  na  hogā  koī