mujhe  kal  milā  jo  sar-e-chaman  vo  tamām  naḳhl-e-shabāb  sā
koī  baat  us  kī  sharāb  sī  koī  harf  us  kā  gulāb  sā
jise  zindagī  na  bhulā  sake  jise  maut  bhī  na  miTā  sake
vahī  maiñ  huuñ  'ġhālib'-e-ḳhasta-jāñ  vahī  'mīr'-e-ḳhāna-ḳharāb  sā
vo  tamām  gard  fanā  huī  mire  jism-o-jāñ  pe  jo  baar  thī
tirī  ik  nazar  meñ  simaT  gayā  mire  sar  pe  thā  jo  azaab  sā
vahī  ek  manzar-e-ḳhush-adā  kahīñ  naqsh  meñ  kahīñ  rañg  meñ
vahī  us  kī  zulf  ġhazal-numā  vahī  us  kā  chehra  kitāb  sā
koī  baat  us  meñ  zarūr  thī  jo  mire  ḳhayāl  meñ  rah  ga.ī
use  kyuuñ  fareb-e-nazar  kahūñ  jise  maiñ  ne  dekhā  thā  ḳhvāb  sā
dil-e-nā-subūr  ke  vāste  koī  naqsh-e-nāz  bachā  nahīñ
ye  jahān-e-tāza  ye  asr-e-nau  jise  dekhiye  tah-e-āb  sā
ajab  ittifāq  thā  'nāmī'  ye  ki  hue  baham  bhī  to  kyā  hue
na  shikasta  koī  mirī  tarah  na  girafta  koī  janāb  sā