kahīñ  pe  qais  kahīñ  kohkan  miyāñ  likkhā
tumhāre  shauq  ne  kyā  kyā  kahāñ  kahāñ  likkhā
likhā  tumhīñ  ne  qafas  ko  maqām-e-āgāhī
visāl-e-dār  kī  shab  sub.h  kī  azaañ  likkhā
likhā  tumhīñ  ne  lahū  se  kamāl-e-goyā.ī
tum  hī  ne  ḳhanjar-e-qātil  ko  hai  zabāñ  likkhā
likhā  tumhīñ  ne  mirī  chashm-e-nam  ko  qulzum-e-ḳhvāb
tum  hī  ne  us  ke  tasavvur  ko  bādbāñ  likkhā
tumhīñ  ne  mauj-e-tamannā  ko  sar-e-kashīda  kahā
tum  hī  ne  ḳhvāhish-e-sāhil  ko  sargirāñ  likkhā
tumhīñ  to  naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār  likhte  rahe
tum  hī  ne  kūcha-e-jānāñ  ko  lā-makāñ  likkhā
likhā  tumhīñ  ne  hai  sahrā  ko  dāġh-e-sīna-e-ishq
tum  hī  ne  ābla-pā.ī  se  kahkashāñ  likkhā
likhā  tumhī  ne  mirī  bebasī  kā  saarā  hisāb
tumhī  ne  mujh  ko  shah-e-ḳhusrav-e-zamāñ  likhā
to  ab  tumhāre  liye  koī  kyā  likhegā  'ra.īs'
ki  jis  ne  kuchh  na  kiyā  umr-e-rā.egāñ  likkhā