Mohammad Raees Alvi

hum hue taswir ab pahla sa wo aalam kahan

Mohammad Raees Alvi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1946

ham hue tasvīr ab pahlā vo aalam kahāñ

rañg haiñ sab pairahan meñ kho ga.e haiñ ham kahāñ

muzmahil hai sub.h sho.ala dhuāñ hai dasht par

dekhnā hai uḌ ke jaatī hai magar shabnam kahāñ

dast-e-qātil ke liye hoñToñ pe ab bhī marhabā

ḳhūn-e-ahl-e-dil ḳhātir sīna-e-mātam kahāñ

dāman-e-dil meñ sameTe haiñ abhī tūfāñ ka.ī

sail-e-ashk-o-nāla-e-ġham ho ga.e haiñ kam kahāñ

dil dhaḌaktā hai har ik aahaT pe ahl-e-hijr

jānte haiñ vo ki aa.egā koī is dam kahāñ

uḌ ke aatā hai ġhubār-e-rahguzar āñkhoñ meñ phir

DhūñDhtā huuñ kho gayā hai dīda-pur-nam kahāñ

Top Urdushayar.com