Hashim Azimabadi

jam tha KHum tha subu tha majma-e-ahbab tha

Hashim Azimabadi

Patna, Bihar, India

1922

jaam thā ḳhum thā subū thā majma-e-ahbāb thā

shaiḳh in sab meñ chehra kis qadar shādāb thā

maiñ ne dekhā raat merī god meñ mahtāb thā

aap ta.abīr us deñ ye kaisā ḳhvāb thā

qais dīvāna tirā ai lailī-e-mahmil-nashīñ

terī sūrat dekhne ko kis qadar betāb thā

vo qulī thā thā koī kaaTh ullū murīd

piiTh par laade hue jo shaiḳh asbāb thā

us ne ye achchhā kiyā jo aqd paḌhvā liyā

dil murīdan ke liye jab sūrat-e-sīmāb thā

kyuuñ na dāḌhī apnī kartā jumbish-e-razor bheñT

ḳhanda-zan is shakl par jab halqa-e-ahbāb thā

raat bhar maiñ ne sañvārī zulf-e-lailā-e-ġhazal

sher aamad thī 'hāshim' koī sailāb thā

Top Urdushayar.com