Fasih Akmal

de gaya likh kar wo bas itna juda hote hue

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944
de gayā likh kar vo bas itnā judā hote hue
ho ga.e be-āsrā ham aasrā hote hue
khiḌkiyāñ mat khol lekin koī rauzan vā to kar
ghuT na jaa.e merā dam taaza havā hote hue
vaqt ne gardan uThāne kī na dī mohlat hameñ
apnā chehra bhuul baiThe ā.īna hote hue
ḳhud usī ke ahd meñ azm-e-vafādārī na thā
varna kyuuñ mujh se badaltā āshnā hote hue
gardish-e-daurāñ kā ham par bhī asar hotā zarūr
ham ne dekhā hai magar us ko ḳhafā hote hue
jaane kis ke sog meñ ye shahr hai Duubā huā
mai-kade sunsān haiñ kaalī ghaTā hote hue
Top Urdushayar.com