Fasih Akmal

ye wo safar hai jahan KHun-baha zaruri hai

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944
ye vo safar hai jahāñ ḳhūñ-bahā zarūrī hai
vahī na dekhnā jo dekhnā zarūrī hai
badaltī samtoñ kī tārīḳh likh rahā huuñ maiñ
har ek moḌ pe ab hādsa zarūrī hai
nuqūsh chehroñ ke alfāz bante jaate haiñ
kuchh aur is se ziyāda bhī kyā zarūrī hai
ye sone vaale tujhe sañgsār kar deñge
ye kah ke dekh kabhī jāgnā zarūrī hai
añdherī raat meñ us rahguzār par yaaro
mirī tarah se ye jaltā diyā zarūrī hai
jahāñ jahāñ se maiñ guzrūñ udaas rātoñ meñ
vahāñ vahāñ tirī āvāz-e-pā zarūrī hai
bahut sī bāteñ zabāñ se kahī nahīñ jātīñ
savāl kar ke use dekhnā zarūrī hai
Top Urdushayar.com