Fasih Akmal

kuchh naya karne ki KHwahish mein purane ho gae

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944
kuchh nayā karne kī ḳhvāhish meñ purāne ho ga.e
baal chāñdī ho ga.e bachche siyāne ho ga.e
zindagī hañsne lagī parchhā.iyoñ ke shahr meñ
chāñd kyā ubhrā ki sab manzar suhāne ho ga.e
ret par to TuuT kar barse magar bastī pe kam
is na.ī rut meñ to bādal bhī divāne ho ga.e
bādaloñ ko dekh kar vo yaad kartā hai mujhe
is kahānī ko sune kitne zamāne ho ga.e
joḌtā rahtā huuñ aksar ek qisse ke varaq
jis ke sab kirdār logo be-Thikāne ho ga.e
'mīr' kā dīvān āñkheñ jism 'qā.em' kī ġhazal
jaane kis ke naam mere sab ḳhazāne ho ga.e
ret par ik nā-mukammal naqsh thā qurbat kā ḳhvāb
fāsla baḌhne ke 'akmal' sau bahāne ho ga.e
Top Urdushayar.com