kuchh  nayā  karne  kī  ḳhvāhish  meñ  purāne  ho  ga.e
baal  chāñdī  ho  ga.e  bachche  siyāne  ho  ga.e
zindagī  hañsne  lagī  parchhā.iyoñ  ke  shahr  meñ
chāñd  kyā  ubhrā  ki  sab  manzar  suhāne  ho  ga.e
ret  par  to  TuuT  kar  barse  magar  bastī  pe  kam
is  na.ī  rut  meñ  to  bādal  bhī  divāne  ho  ga.e
bādaloñ  ko  dekh  kar  vo  yaad  kartā  hai  mujhe
is  kahānī  ko  sune  kitne  zamāne  ho  ga.e
joḌtā  rahtā  huuñ  aksar  ek  qisse  ke  varaq
jis  ke  sab  kirdār  logo  be-Thikāne  ho  ga.e
'mīr'  kā  dīvān  āñkheñ  jism  'qā.em'  kī  ġhazal
jaane  kis  ke  naam  mere  sab  ḳhazāne  ho  ga.e
ret  par  ik  nā-mukammal  naqsh  thā  qurbat  kā  ḳhvāb
fāsla  baḌhne  ke  'akmal'  sau  bahāne  ho  ga.e