Fasih Akmal

muddat se wo KHushbu-e-hina hi nahin aai

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944
muddat se vo ḳhushbu-e-hinā hī nahīñ aa.ī
shāyad tire kūche kī havā hī nahīñ aa.ī
maqtal pe abhī tak jo tabāhī nahīñ aa.ī
sarkār kī jānib se gavāhī nahīñ aa.ī
duniyā kā har ik kaam salīqe se kiyā hai
ham logoñ ko bas yād-e-ḳhudā hī nahīñ aa.ī
jis vaqt ki vo haath chhuḌāne pe ba-zid thā
us vaqt koī yaad duā hī nahīñ aa.ī
lahje se na zāhir ho ki ham us se ḳhafā haiñ
jiine kī abhī tak ye adā hī nahīñ aa.ī
ruḳhsat use bā-dīda-e-nam kar to diyā thā
phir is se baḌī dil pe tabāhī nahīñ aa.ī
miltī to zarā pūchhte ahvāl hī us kā
afsos idhar bād-e-sabā hī nahīñ aa.ī
Top Urdushayar.com