Fasih Akmal

muddat se wo KHushbu-e-hina hi nahin aai

Fasih Akmal

Shahjahanpur, Uttar pradesh, India

1944

muddat se vo ḳhushbu-e-hinā nahīñ aa.ī

shāyad tire kūche havā nahīñ aa.ī

maqtal pe abhī tak jo tabāhī nahīñ aa.ī

sarkār jānib se gavāhī nahīñ aa.ī

duniyā har ik kaam salīqe se kiyā hai

ham logoñ ko bas yād-e-ḳhudā nahīñ aa.ī

jis vaqt ki vo haath chhuḌāne pe ba-zid thā

us vaqt koī yaad duā nahīñ aa.ī

lahje se na zāhir ho ki ham us se ḳhafā haiñ

jiine abhī tak ye adā nahīñ aa.ī

ruḳhsat use bā-dīda-e-nam kar to diyā thā

phir is se baḌī dil pe tabāhī nahīñ aa.ī

miltī to zarā pūchhte ahvāl us

afsos idhar bād-e-sabā nahīñ aa.ī

Top Urdushayar.com