Saqib Lakhnavi

unki aaraish se mere kaam ban jaenge kya

Saqib Lakhnavi

Agra, Uttar pradesh, India

1869-1946
un kī ārā.ish se mere kaam ban jā.eñge kyā
dil kī gutthī shāna-hā-e-zulf suljhā.eñge kyā
vasl ke va.ade se ḳhush ho kar na mar jā.eñge kyā
nāma-bar hañstā huā aatā hai ḳhud ā.eñge kyā
qaidī-e-ġham turbatoñ meñ aur un ko ye ḳhayāl
kāTne meñ ik shab-e-furqat ke mar jā.eñge kyā
kaam apnā kar chuke ahl-e-vafā shak hai to ho
sar nahīñ baaqī shahīdoñ ke qasam khā.eñge kyā
arz-e-matlab ke liye ai dil zabāñ khultī nahīñ
kuchh ishāre maiñ karūñgā vo samajh jā.eñge kyā
haath idhar uThtā nahīñ hai taar udhar baaqī nahīñ
deñge vo kyā aur ham dāman ko phailā.eñge kyā
qissa-e-farhād-o-majnūñ kyuuñ sunāte ho hameñ
jab pareshānī se matlab hai to ghabrā.eñ kyā
mehmān-e-kū-e-jānāñ ho ke dil betāb hai
maiñ to samjhātā nahīñ vo bhī na samjhā.eñge kyā
mast rahte haiñ hamesha mai-faroshān-e-jamāl
ham to māñgeñge koī sāġhar vo farmā.eñge kyā
kyuuñ na chup baiThūñ qafas meñ duur hī fasl-e-bahār
āh-o-zārī se mirī mausam badal jā.eñge kyā
tinke tinke kā ḳhudā-hāfiz chale ham baaġh se
alvidā.a ai āshiyāñ ab jā ke phir ā.eñge kyā
dil kī bīmārī kā uqda kholnā dushvār hai
jo nahīñ samjhe vo 'sāqib' mujh ko samjhā.eñge kyā
Top Urdushayar.com