aisī  nahīñ  hai  baat  ki  qad  apne  ghaT  ga.e
chādar  ko  apnī  dekh  ke  ham  ḳhud  simaT  ga.e
jab  haath  meñ  qalam  thā  to  alfāz  hī  na  the
ab  lafz  mil  ga.e  to  mire  haath  kaT  ga.e
sandal  kā  maiñ  daraḳht  nahīñ  thā  to  kis  liye
jitne  the  ġham  ke  naag  mujhī  se  lipaT  ga.e
baiThe  the  jab  to  saare  parinde  the  saath  saath
uḌte  hī  shāḳh  se  ka.ī  samtoñ  meñ  baT  ga.e
ab  ham  ko  shafqatoñ  kī  ghanī  chhāñv  kyā  mile
jitne  the  sāya-dār  shajar  saare  kaT  ga.e
'sāġhar'  kisī  ko  dekh  ke  hañsnā  paḌā  mujhe
duniyā  samajh  rahī  hai  mire  din  palaT  ga.e