pyaas  sadiyoñ  kī  hai  lamhoñ  meñ  bujhānā  chāhe
ik  zamāna  tirī  āñkhoñ  meñ  samānā  chāhe
aisī  lahroñ  meñ  nadī  paar  kī  hasrat  kis  ko
ab  to  jo  aa.e  yahāñ  Duub  hī  jaanā  chāhe
aaj  bikne  sar-e-bāzār  maiñ  ḳhud  aayā  huuñ
kyuuñ  mujhe  koī  ḳharīdār  banānā  chāhe
mujh  meñ  aur  tujh  meñ  hai  ye  farq  to  ab  bhī  qaa.im
tū  mujhe  chāhe  magar  tujh  ko  zamāna  chāhe
kabhī  iz.hār-e-mohabbat  kabhī  shikvoñ  ke  liye
tujh  se  milne  kā  koī  roz  bahānā  chāhe
jis  ko  chhūne  se  mirā  jism  sulag  uTThā  thā
dil  phir  ik  baar  usī  chhāñv  meñ  jaanā  chāhe
us  ke  jazbāt  se  yuuñ  khel  rahā  huuñ  'sāġhar'
jaise  paanī  meñ  koī  aag  lagānā  chāhe