fikr-e-zar  meñ  bilaktā  huā  aadmī
ab  kahāñ  rah  gayā  kaam  kā  aadmī
zindagī  bhī  haqīqat  meñ  ik  jurm  hai
umr  bhar  kāTtā  hai  sazā  aadmī
kaun  apnā.e  maazī  kī  parchhā.iyāñ
kaun  paidā  kare  ab  nayā  aadmī
ḳhūb-sūrat  sī  is  par  kahānī  likho
gaañv  kī  goriyāñ  shahr  kā  aadmī
the  bahut  log  mahfil  meñ  baiThe  hue
un  meñ  mushkil  se  ik  mil  gayā  aadmī
ye  kamāl-e-ḳhudī  hī  kahā  jā.egā
ḳhud  hī  duniyā  banāne  lagā  aadmī
tum  bhī  'sāhir'  zarā  is  se  bach  kar  raho
gaañv  se  hai  alag  shahr  kā  aadmī