ġham-e-hayāt  kī  pahnā.iyoñ  se  ḳhauf-zada
maiñ  umr  bhar  rahā  nākāmiyoñ  se  ḳhauf-zada
jahāñ  bhī  dekho  ta.assub  kī  chal  rahī  hai  havā
hamārā  shahr  hai  balvā.i.oñ  se  ḳhauf-zada
kabhī  kisī  kā  burā  hī  nahīñ  kiyā  phir  bhī
zamāna  hai  mirī  ḳhush-hāliyoñ  se  ḳhauf-zada
karam  tumhārā  koī  be-ġharaz  nahīñ  hotā
hai  dil  tumhārī  mehrbāniyoñ  se  ḳhauf-zada
ilāhī  tujh  ko  ḳhabar  hai  ki  ye  tirā  'sāhir'
hai  kitnā  apnī  pareshāniyoñ  se  ḳhauf-zada