yuuñ  ilāj-e-dil  bīmār  kiyā  jā.egā
sharbat-e-dīd  se  sarshār  kiyā  jā.egā
hasrat-e-dīd  meñ  bīnā.ī  gañvā  baiThe  jo
is  se  kaise  tirā  dīdār  kiyā  jā.egā
so  rahā  huuñ  maiñ  zamāne  se  tirā  ḳhvāb  liye
niiñd  se  kab  mujhe  bedār  kiyā  jā.egā
TuuT  jā.egā  bharam  pariyoñ  kī  shahzādī  kā
jab  tire  husn  ko  shahkār  kiyā  jā.egā
ḳhud-kushī  kī  ḳhabar  aḳhbār  kī  surḳhī  hogī
qatl  mujh  ko  pas-e-dīvār  kiyā  jā.egā
maiñ  sadāqat  huuñ  mujhe  maut  nahīñ  aa.egī
vaise  maslūb  ka.ī  baar  kiyā  jā.egā
in  charāġhoñ  ke  tabassum  meñ  lahū  hai  merā
kab  havāoñ  ko  ḳhabar-dār  kiyā  jā.egā
dil  ke  jazbāt  javāñ  aur  bhī  ho  jā.eñge
merī  rāhoñ  ko  jo  dushvār  kiyā  jā.egā
hoñge  sharminda  manādir  ke  kalas  bhī  'afzal'
kisī  masjid  ko  jo  mismār  kiyā  jā.egā