Afzal Allahabadi

yaadon ke nasheman ko jalaya to nahin hai

Afzal Allahabadi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1984

yādoñ ke nasheman ko jalāyā to nahīñ hai

ham ne tujhe is dil se bhulāyā to nahīñ hai

kaunain vus.at bhī simaT jaatī hai jis meñ

ai dil kahīñ tujh meñ vo samāyā to nahīñ hai

har shai se vo zāhir hai ye ehsān hai us

ḳhud ko mirī nazroñ se chhupāyā to nahīñ hai

zulfoñ syāhī meñ ajab husn-e-nihāñ hai

ye raat usī husn saayā to nahīñ hai

vāqif haiñ tire dard se ai naġhma-e-ulfat

ham ne tujhe har saaz pe gaayā to nahīñ hai

us ne jo likhā thā kabhī sāhil jabīñ par

us naam ko maujoñ ne miTāyā to nahīñ hai

vo shahar is bhiiḌ meñ aatā nahīñ 'afzal'

phir bhī chalo dekheñ kahīñ aayā to nahīñ hai

Top Urdushayar.com