ye  batā  de  mujh  ko  mere  dil  kise  āvāz  duuñ
ḳhud  masīhā  hai  mirā  qātil  kise  āvāz  duuñ
jitne  saaqī  the  mire  sab  nazr-e-tūfāñ  ho  ga.e
aur  kosoñ  duur  hai  sāhil  kise  āvāz  duuñ
le  gayā  vo  saath  apne  gulshan-e-dil  kī  bahār
suunī  suunī  hai  mirī  mahfil  kise  āvāz  duuñ
haal  merā  ḳhanjar-e-māzī  se  zaḳhmī  ho  gayā
ro  rahā  hai  merā  mustaqbil  kise  āvāz  duuñ
vo  chalātā  hai  ajab  andāz  se  tīr-e-nazar
aur  meñ  ho  jaatā  huuñ  bismil  kise  āvāz  duuñ
kaun  hai  mushkil-kushā  merā  qabā  tere  sivā
jab  paḌe  mujh  par  koī  mushkil  kise  āvāz  duuñ
jaañ  nichhāvar  kar  rahā  thā  mujh  pe  jo  'afzal'  kabhī
dushmanoñ  meñ  vo  bhī  hai  shāmil  kise  āvāz  duuñ