har  naġhma-e-pur-dard  har  ik  saaz  se  pahle
hañgāma  bapā  hotā  hai  āġhāz  se  pahle
dil  dard-e-mohabbat  se  to  vāqif  bhī  nahīñ  thā
jānāñ  tire  baḳhshe  hue  e.azāz  se  pahle
sho.aloñ  pe  chalātī  hai  mohabbat  dil-e-nādāñ
anjām  zarā  soch  le  āġhāz  se  pahle
ab  merī  tabāhī  kā  use  ġham  bhī  nahīñ  hai
jis  ne  mujhe  chāhā  thā  baḌe  naaz  se  pahle
shāhīn  vo  kahlāne  kā  haqdār  nahīñ  hai
jo  sū-e-falak  dekhe  na  parvāz  se  pahle
ab  raaz  kī  bāteñ  na  batā  de  vo  kisī  se
ye  ḳhauf  nahīñ  thā  kabhī  hamrāz  se  pahle
thī  mīr-taqī-'mīr'  kī  nauhagarī  mash.hūr
'afzal'  kī  sisaktī  huī  āvāz  se  pahle