bulandī  se  kabhī  vo  āshnā.ī  kar  nahīñ  saktā
jo  tere  āstāne  kī  gadā.ī  kar  nahīñ  saktā
zabāñ  rakhte  hue  bhī  lab-kushā.ī  kar  nahīñ  saktā
koī  qatra  samundar  se  laḌā.ī  kar  nahīñ  saktā
tū  jugnū  hai  faqat  rātoñ  ke  dāman  meñ  baserā  kar
maiñ  sūraj  huuñ  tū  mujh  se  āshnā.ī  kar  nahīñ  saktā
ḳhudī  kī  daulat-e-uzmā  ḳhudā  ne  mujh  ko  baḳhshī  hai
qalandar  huuñ  maiñ  shāhoñ  kī  gadā.ī  kar  nahīñ  saktā
sifat  fir.aun  kī  tujh  meñ  hai  maiñ  muusā  kā  haamī  huuñ
kabhī  taslīm  maiñ  terī  ḳhudā.ī  kar  nahīñ  saktā
jo  zindāñ  meñ  aziyyat  par  aziyyat  mujh  ko  detā  hai
maiñ  us  zālim  se  ummīd-e-rihā.ī  kar  nahīñ  saktā
jo  kamtar  hai  baḌā.ī  apnī  apne  muñh  se  kartā  hai
magar  'afzal'  kabhī  apnī  baḌā.ī  kar  nahīñ  saktā