apnī  tanhā.iyoñ  ke  ġhaar  meñ  huuñ
aisā  lagtā  hai  maiñ  mazār  meñ  huuñ
tū  ne  pūchhā  kabhī  na  haal  mirā
muddatoñ  se  tire  dayār  meñ  huuñ
terī  ḳhushbū  hai  merī  sāñsoñ  meñ
jab  se  maiñ  terī  rahguzār  meñ  huuñ
mujh  pe  apnā  hai  iḳhtiyār  kahāñ
maiñ  to  bas  tere  iḳhtiyār  meñ  huuñ
mujh  ko  manzil  se  āshnā  kar  de
maiñ  tirī  raah  ke  ġhubār  meñ  huuñ
jab  se  terī  nigāh-e-lutf  uThī
chāñd  tāroñ  kī  maiñ  qatār  meñ  huuñ
mujh  ko  duniyā  se  kyā  ġharaz  'afzal'
maiñ  to  Duubā  ḳhayāl-e-yār  meñ  huuñ