ġhazal  kā  husn  hai  aur  giit  kā  shabāb  hai  vo
nasha  hai  jis  meñ  suḳhan  kā  vahī  sharāb  hai  vo
use  na  dekh  mahaktā  huā  gulāb  hai  vo
na  jaane  kitnī  nigāhoñ  kā  intiḳhāb  hai  vo
misāl  mil  na  sakī  kā.enāt  meñ  us  kī
javāb  us  kā  nahīñ  koī  lā-javāb  hai  vo
mirī  in  āñkhoñ  ko  tābīr  mil  nahīñ  paatī
jise  maiñ  dekhtā  rahtā  huuñ  aisā  ḳhvāb  hai  vo
na  jaane  kitne  hijāboñ  meñ  vo  chhupā  hai  magar
nigāh-e-dil  se  jo  dekhūñ  to  be-hijāb  hai  vo
ujāle  apne  luTā  kar  vo  Duub  jā.egā
hasīn  sub.h  kā  raḳhshanda  āftāb  hai  vo
vo  mujh  se  pūchhne  aayā  hai  merā  haal  'afzal'
jise  batā  na  sakūñ  dil  meñ  iztirāb  hai  vo