ġhamoñ  kī  dhuup  meñ  milte  haiñ  sā.ebāñ  ban  kar
zamīñ  pe  rahte  haiñ  kuchh  log  āsmāñ  ban  kar
uḌe  haiñ  jo  tire  qadmoñ  se  ḳhaak  ke  zarre
chamak  rahe  haiñ  falak  par  vo  kahkashāñ  ban  kar
jinheñ  nasīb  huī  hai  tire  badan  kī  nasīm
mahak  rahe  haiñ  zamīñ  par  vo  gulsitāñ  ban  kar
meñ  iztirāb  ke  aalam  meñ  raqs  kartā  rahā
kabhī  ġhubār  kī  sūrat  kabhī  dhuāñ  ban  kar
mirī  sadāoñ  ko  ab  to  panāh  mil  jaa.e
tujhe  pukār  rahā  huuñ  tirī  zabāñ  ban  kar
maiñ  is  zamīn  kī  vus.at  pe  sair  kartā  huuñ
falak  ke  chāñd  sitāroñ  kā  rāz-dāñ  ban  kar
masarratoñ  kī  fazā  meñ  sadā  vo  rahte  haiñ
jo  ġham  ke  māroñ  se  milte  haiñ  mehrbāñ  ban  kar
unhīñ  ko  shān-e-chaman  ye  zamāna  kahtā  hai
chaman  ko  luuT  rahe  haiñ  jo  bāġhbāñ  ban  kar
maiñ  harf  harf  jise  paḌh  chukā  huuñ  ai  'afzal'
varaq  varaq  pe  vo  bikhrā  hai  dāstāñ  ban  kar