tum  hamāre  ho  ham  tumhāre  haiñ
jaise  dariyā  ke  do  kināre  haiñ
rūThe  rūThe  se  sab  nazāre  haiñ
ik  hamīñ  haiñ  jo  ġham  ke  maare  haiñ
vo  milāte  nahīñ  nazar  ham  se
aur  kahte  haiñ  ham  tumhāre  haiñ
hausla  hai  hamāre  dil  meñ  abhī
ham  kahāñ  zindagī  se  haare  haiñ
kyā  batā.eñ  ki  terī  furqat  meñ
kis  tarah  ham  ne  din  guzāre  haiñ
us  ko  merī  kamī  satā.e  kyuuñ
jis  ke  dāman  meñ  chāñd  taare  haiñ
ham  ko  'afzal'  hai  aasrā  us  kā
kaise  kah  deñ  ki  be-sahāre  haiñ