tere  jalvoñ  ko  rū-ba-rū  kar  ke
tujh  se  milte  haiñ  ham  vuzū  kar  ke
tere  kūche  se  lauT  aa.e  ham
apnī  āñkheñ  lahū  lahū  kar  ke
chāk-dāman  hai  chaak  rahne  de
kyā  karegā  use  rafū  kar  ke
tere  lahje  meñ  kaisā  jaadū  hai
ham  bhī  dekheñge  guftugū  kar  ke
apnī  duniyā  luTā.e  baiThā  huuñ
ye  milā  terī  justujū  kar  ke
kho  diyā  hai  charāġh  bhī  'afzal'
chāñd  tāroñ  kī  aarzū  kar  ke