ashk  āñkhoñ  meñ  liye  āThoñ  pahar  dekhegā  kaun
ham  nahīñ  hoñge  to  terī  rahguzar  dekhegā  kaun
sham.a  bhī  bujh  jā.egī  parvāna  bhī  jal  jā.egā
raat  ke  donoñ  musāfir  haiñ  shajar  dekhegā  kaun
sone  aur  chāñdī  ke  bartan  kī  numā.ish  hai  yahāñ
maiñ  huuñ  kūza-gar  mirā  dast-e-hunar  dekhegā  kaun
jis  qadar  Duubā  huā  huuñ  ḳhud  maiñ  apne  ḳhuun  meñ
ḳhud  ko  apne  ḳhuun  meñ  yuuñ  tar-ba-tar  dekhegā  kaun
har  taraf  maqtal  meñ  hai  chhā.ī  huī  vīrāniyāñ
neza-e-bātil  pe  āḳhir  merā  sar  dekhegā  kaun
mere  zāhir  par  nigāheñ  sab  kī  haiñ  'afzal'  magar
mere  andar  jo  chhupā  hai  vo  guhar  dekhegā  kaun