ab  to  har  ek  adākār  se  Dar  lagtā  hai
mujh  ko  dushman  se  nahīñ  yaar  se  Dar  lagtā  hai
kaise  dushman  ke  muqābil  vo  Thahar  pā.egā
jis  ko  TuuTī  huī  talvār  se  Dar  lagtā  hai
vo  jo  pāzeb  kī  jhankār  kā  shaidā.ī  ho
us  ko  talvār  kī  jhankār  se  Dar  lagtā  hai
mujh  ko  bāloñ  kī  safedī  ne  ḳhabar-dār  kiyā
zindagī  ab  tirī  raftār  se  Dar  lagtā  hai
kar  deñ  maslūb  unheñ  laakh  zamāne  vaale
haq-parastoñ  ko  kahāñ  daar  se  Dar  lagtā  hai
vo  kisī  tarah  bhī  tairāk  nahīñ  ho  saktā
duur  se  hī  jise  mañjdhār  se  Dar  lagtā  hai
mere  āñgan  meñ  hai  vahshat  kā  baserā  'afzal'
mujh  ko  ghar  ke  dar-o-dīvār  se  Dar  lagtā  hai