sulagtī  ret  pe  tahrīr  jo  kahānī  hai
mire  junūñ  kī  ik  anmol  vo  nishānī  hai
maiñ  apne  aap  ko  tanhā  samajh  rahā  thā  magar
sunā  hai  tum  ne  bhī  sahrā  kī  ḳhaak  chhānī  hai
ġhamoñ  kī  dhuup  meñ  rahnā  hai  sā.ebāñ  kī  tarah
ḳhayāl-e-gesū-e-jānāñ  kī  mehrbānī  hai
kabhī  udhar  se  jo  guzregā  kārvāñ  apnā
to  ham  bhī  dekheñge  dariyā  meñ  kitnā  paanī  hai
maiñ  ab  bhī  shaan  se  zinda  huuñ  shahr-e-qātil  meñ
mire  ḳhudā  kī  yaqīnan  ye  mehrbānī  hai
burā  na  maano  to  maiñ  saaf  saaf  ye  kah  duuñ
tumhāre  pyaar  kā  da.avā  faqat  zabānī  hai
añdherā  rahtā  na  baaqī  kahīñ  magar  'afzal'
kab  āñdhiyoñ  ne  charāġhoñ  kī  baat  maanī  hai