hai  agarche  shahr  meñ  apnī  shanāsā.ī  bahut
phir  bhī  rahtā  hai  hameñ  ehsās-e-tanhā.ī  bahut
ab  ye  sochā  hai  ki  apnī  zaat  meñ  simTe  raheñ
ham  ne  kar  ke  dekh  lī  sab  se  shanāsā.ī  bahut
muñh  chhupā  kar  āstīñ  meñ  der  tak  rote  rahe
raat  Dhaltī  chāñdnī  meñ  us  kī  yaad  aa.ī  bahut
qatra  qatra  ashk-e-ġham  āñkhoñ  se  āḳhir  bah  ga.e
ham  ne  palkoñ  kī  unheñ  zanjīr  pahnā.ī  bahut
apnā  saaya  bhī  judā  lagtā  hai  apnī  zaat  se
ham  ne  us  se  dil  lagāne  kī  sazā  paa.ī  bahut
ab  to  sail-e-dard  tham  jaa.e  sakūñ  dil  ko  mile
zaḳhm-e-dil  meñ  aa  chukī  hai  ab  to  gahrā.ī  bahut
shaam  ke  sāyoñ  kī  sūrat  phailte  jaate  haiñ  ham
lag  rahī  tañg  ham  ko  ghar  kī  añgnā.ī  bahut
aa.ina  ban  ke  vo  sūrat  sāmne  jab  aa  ga.ī
aks  apnā  dekh  kar  mujh  ko  hañsī  aa.ī  bahut
vo  sahar  tārīkiyoñ  meñ  aaj  bhī  rū-posh  hai
jis  ke  ġham  meñ  kho  chukī  āñkhoñ  kī  bīnā.ī  bahut
maiñ  to  jhoñkā  thā  asīr-e-dām  kyā  hotā  'kalīm'
us  ne  zulfoñ  kī  mujhe  zanjīr  pahnā.ī  bahut