ye  ḳhūb-rū  na  chhurī  ne  kaTār  rakhte  haiñ
nigāh-e-lutf  se  aalam  ko  maar  rakhte  haiñ
charāġh-e-gor  na  sham-e-mazār  rakhte  haiñ
bas  ek  ham  ye  dil  dāġhdār  rakhte  haiñ
sharāb-e-ishq  na  ai  dost  pījiyo  hargiz
isī  nashe  kā  ham  ab  tak  ḳhumār  rakhte  haiñ
mirī  zabānī  koī  us  se  is  qadar  pūchhe
kahīñ  ye  jhūTe  bhī  vaade  shumār  rakhte  haiñ
qayāmat  aa  chukī  dīdār-e-haq  huā  sab  ko
ham  ab  talak  bhī  tirā  intizār  rakhte  haiñ
agarche  ḳhaak  barābar  kiyā  falak  ne  'bayāñ'
dimāġh  par  vahī  ham  ḳhāksār  rakhte  haiñ