jo  zamīñ  par  farāġh  rakhte  haiñ
āsmāñ  par  dimāġh  rakhte  haiñ
saaqī  bhar  bhar  unhīñ  ko  de  hai  sharāb
jo  ki  labrez  ayāġh  rakhte  haiñ
tere  dāġhoñ  kī  daulat  ai  gul-rū
ham  bhī  siine  meñ  baaġh  rakhte  haiñ
hājat-e-sham.a  kyā  hai  turbat  par
ham  ki  dil  sā  charāġh  rakhte  haiñ
aap  ko  ham  ne  kho  diyā  hai  'bayāñ'
aah  kis  kā  surāġh  rakhte  haiñ