raat  us  tunuk-mizāj  se  kuchh  baat  baḌh  ga.ī
vo  ruuTh  kar  gayā  to  ġhazab  raat  baḌh  ga.ī
ye  kahiyo  ham-nashīñ  mujhe  kyā  kyā  na  kah  ga.e
maiñ  ghaT  gayā  na  aap  kī  kuchh  zaat  baḌh  ga.ī
bose  ke  naam  hī  pe  lage  kāTne  zabāñ
kitnī  amal  se  aage  mukāfāt  baḌh  ga.ī
chashmoñ  se  mere  shahr  meñ  tūfān-e-girya  hai
nādān  jānte  haiñ  ki  barsāt  baḌh  ga.ī
samjhā  thā  maiñ  kamar  hī  talak  zulf  kā  kamāl
vo  paañv  se  bhī  aage  ka.ī  haat  baḌh  ga.ī
aġhyār  se  nahīñ  hai  sarokār  yaar  ko
mere  ba-raġhm  un  pe  ināyāt  baḌh  ga.ī
be-tauriyoñ  se  us  kī  'bayāñ'  maiñ  to  khiñch  rahā
ġhairoñ  kī  us  ke  saath  mulāqāt  baḌh  ga.ī