kahā  aġhyār  kā  haq  meñ  mire  manzūr  mat  kiijo
mujhe  nazdīk  se  apne  kabhū  tū  duur  mat  kiijo
hue  sañg-e-jafā  se  shīsha-e-dil  ke  ka.ī  TukḌe
bas  ab  is  se  ziyāda  aur  chaknāchūr  mat  kiijo
mire  marham-guzār  us  shoḳh-e-be-parvā  se  ye  kahiyo
ki  zālim  zaḳhm  taaza  hai  use  nāsūr  mat  kiijo
haqārat  apne  āshiq  kī  nahīñ  māshūq  ko  bhātī
'bayāñ'  sa.ī  apnī  rusvā.ī  meñ  tā  maqdūr  mat  kiijo
kahā  thā  sār-bāñ  ke  kaan  meñ  lailā  ne  āhista
ki  majnūñ  kī  ḳharābī  kā  kahīñ  mazkūr  mat  kiijo