pūchhtā  kaun  hai  Dartā  hai  tū  ai  yaar  abas
qatl  karne  se  mire  hai  tujhe  inkār  abas
kyā  mirī  aañkh  adam  biich  lagī  thī  ai  charḳh
kiyā  us  ḳhvāb  se  tū  ne  mujhe  bedār  abas
vasl  hī  us  kā  davā  hai  mirī  bīmārī  ko
aur  kuchh  karte  haiñ  tadbīr  ye  ġham-ḳhvār  abas
yaar  tanhā  hai  phir  aisā  nahīñ  milne  kā  vaqt
sharm  hotī  hai  merī  māna-e-guftār  abas
aur  bhī  un  ne  'bayāñ'  zulm  kuchh  afzūd  kiyā
kiyā  us  shoḳh  se  tiiñ  ishq  kā  iz.hār  abas