ishva  hai  naaz  hai  ġhamza  hai  adā  hai  kyā  hai
qahr  hai  sehr  hai  jaadū  hai  balā  hai  kyā  hai
yaar  se  merī  jo  karte  haiñ  sifārish  aġhyār
makr  hai  uzr  hai  qaabū  hai  daġhā  hai  kyā  hai
tujh  ko  kis  naam  se  ai  faḳhr  mire  yaad  karūñ
baap  hai  piir  hai  murshid  hai  ḳhudā  hai  kyā  hai
tum  jo  be-vaj.h  sunāte  ho  mirī  jaan  mujhe
ḳhuub  hai  nek  hai  behtar  hai  bhalā  hai  kyā  hai
rū-ba-rū  us  ke  kabhū  baat  na  sudhrī  ham  se
hilm  hai  chain  hai  dahshat  hai  hayā  hai  kyā  hai
nazm  ko  sun  ke  mirī  hañs  ke  ye  bolā  vo  shoḳh
mad.h  hai  shukr  hai  shikva  hai  gila  hai  kyā  hai
ye  jo  us  shoḳh  pe  kartā  hai  'bayāñ'  jaan  nisār
ḳhabt  hai  ishq  hai  saudā  hai  vafā  hai  kyā  hai