zulf  terī  ne  pareshāñ  kiyā  ai  yaar  mujhe
terī  āñkhoñ  ne  kiyā  aap  sā  bīmār  mujhe
dil  bujhā  jaa.e  hai  aġhyār  kī  shorish  pe  mirā
sard  kartī  hai  tirī  garmi-e-bāzār  mujhe
aql  hī  maujib-e-taklīf  huī  hai  nādāñ
kar  ga.ī  be-ḳhabarī  aa  ke  ḳhabar-dār  mujhe
taḳht  aur  chhitr  salātīñ  ko  mubārak  hove
bas  hai  kūche  meñ  tire  sāya-e-dīvār  mujhe
juuñ  misāl  us  kī  numūdār  huī  tuuñ  hī  'bayāñ'
tapish-e-dil  ne  kiyā  ḳhvāb  se  bedār  mujhe