kahtā  hai  kaun  hijr  mujhe  sub.h  o  shaam  ho
par  vasl  meñ  bhī  lutf  nahīñ  jo  mudām  ho
shikva  kiyā  ho  mere  lab-e-zaḳhm  ne  kabhū
to  mujh  pe  āb-e-teġh  ilāhī  harām  ho
sāhab  tum  apne  muñh  ko  chhupāte  ho  mujh  se  kyuuñ
hai  us  se  kyā  hijāb  jo  apnā  ġhulām  ho
muñh  lagne  se  raqīb  ke  ab  sar  chaḌhe  haiñ  sab
kar  Daale  us  ko  zab.h  abhī  intizām  ho
mat  dard-e-dil  ko  pūchh  ba-qaul-e-'fuġhāñ'  'bayāñ'
ik  umr  chāhiye  mirā  qissa  tamām  ho